Kisi nay dhool kya ankhon main jhonki!
Main ab pehlay se behtar dekhta hoon
Insaan bhi kya ajeeb makhluq hay,
Jeeta aisa ha jaise kabhi mare ga nahi,
Aur marta aise ha jaise kabhi jiya hi nahi..
Maan lijye chehre pe dhool hai.
Ilzaam aayinay pe lgana fazool ha
Pareshani haalat se nahi khayalaat se paida hoti hai
Mehngay kapray sastay loag
Bhaar main jayen aisay loag
Be with someone who brings out the best in you not the stress in you.
Ye kis muqaam pe sujhi tujhay bicharnay ki
K ab to ja k kahin din sanwarnay wale thy
Ye jo meri lehad pe rotay hain naw!
Abhi uth jaon to jeenay na dain
Jamhooriyat ka kamal ye hay k wo voot ki taqat k zariye bhairon ko bhairiiya chun'ne ki azadi deti hai.
Thora momin hoon, thora munafiq hoon
Main bhi mahol k mutabiq hoon
Kehnay walon ka kya jaata hai
Sehnay walay kamal kartay hain
Aap seekhna chahen to aapki har ghalti apko sabaq deti hay.
Har insan apna bohat kuch badal sakta hay
Hatake shakal bhi tabdeel kar skta hay
Lekin wo fitrat nahi badal sakta.
Insan ne mehsoos karna isliye chor dia hay, kyunke usay un cheezon se mohabbat ho gai ha jin main ehsaas nahi hay.
Aarzi jazbaat par mustaqil faislay nahi karnay chahiye.
Jab duaon aur koshishon se bhi baat na banay tou faisla Allah par chor do, Allah apnay bandon k baray main behtar faisla karnay walaa hai.
Zabat itna hay k honton ko hi see rakha hay
Tishnagi wo k samundar ko bhi pee sakty hain
Meri mohabbatain bhi ajeeb thin, mera faiz bhi tha kamal par
Kabhi sab kuch mila bina matlab, kabhi kuch na mila sawal par
Nazrain sub bata deti hain
Hasratain bhi, nafratain bhi..
Khaak ko khaak kha gai khaak aur takabur wahin ka wahin reh gya.
Ao kainaat baant lain
Tum meri baqi sab tumhara
Pyar humko bhi ha
Pyar tumko bhi ha
To yeh kya silsilay ho gye
Bewafa hum nahi
Bewafa tum nahi
To kyun itne gilay hogaye!
Life is like riding a bicycle, in order to keep your balance you must keep moving.
0 comments:
Post a Comment