Showing posts with label Islam. Show all posts
Showing posts with label Islam. Show all posts

Kaaliyan zulfan wala Naat by Owais Raza Qadri


Download this Naat in MP3 Format by  Clicking here.

Kaaliyan zulfan wala dukhi dillan da sahara
Qasam khuda di mainu sab naalon pyara

Dassan ki main Mustafa di kidi sohni shaan hay
Aap di tareef vich sara hi Qur'an hay
Parh ky tu wekh jehra marzi sipaara
Qasam khuda di mainu sab naalon pyara

Eyda sohna Nabi duniya ty koi aya nai
Yaar eho jeya koi Rab nay bnaya nahi
Deed meri Nabi di hay Rab ka nazaara
Qasam khuda di mainu sab naalon pyara

Dehnde ne gawahi zarre zarre koh-e-toor de
Wekhde naseeban wale jalway Hazoor de
Amina da chann ty Haleema da dulaara
Qasam khuda di mainu sab naalon pyara

Kar k ishaara sohna suraj nu morda
Aapey chann torda ty aapey chann jorda
Bigri banawe mere Nabi da ishaara
Qasam khuda di mainu sab naalon pyara

Kehndi ay Haleema mukh wekh Lajpal da
Lab k le aawan kithon sohna tere naal da
Amina da chann ty Haleema da dulaara
Chodwin da chann arshan da taara
Qasam khuda di mainu sab naalon pyara

Kaliyan zulfan wala dukhi dillan da sahaara


Share:

Main Madinay Chala Naat Lyrics and MP3 Download

Download this MP3 Naat



Main Madinay Chala Naat Lyrics and MP3 Download
Main madinay chala, Main madinay chala
Phir karam ho gya main madinay chala

Saaqia ma'i pilaa main madinay chala
Mast-o-bekhud bana main madinay chala

Madinay se bulawa aa raha hay
Aur mera dil mujhse pehle ja raha hay
Mere dil tu mujhay bhi saath le chal
Akela kyun madina ja raha hay

Meray aaqa ka dar ho ga pesh-e-nazar
Chahiye aur kya main madinay chala

Jo hay Mehboob-e-Rab apni un se hi sab
Bakhshwane khatta main madinay chala

Rooh-e-muztar thehar, tu nikalna udhar
Ary itni jaldi hay kya main madinay chala

Sabz gunbad ka noor zang kar de ga door
Paye ga dil jilla main madinay chala

Woh uhod ki zameen hain jahan par makeen
Mera hamza piya main madinay chala

 Kya kare ga idr baandh rakht-e-safar
Chal obaid-e-raza main madinay chala

Share:

Haal-e-Dil kisko sunayen Aap k hote howe

Download Mp3

Haal-e-Dil kisko sunayen Aap k hote howe naatHaal-e-Dil kisko sunayen Aap k hote howe
Kyun kisi k darr pe jayen  Aap k hote howe

Main ghulam-e-Mustafa (S.A.W) hoon ye meri pehchan ha
Ghum mujhe kyun kar staye Aap k hote howe

Apna jeena apna marna ab isi chokhatt pe hay
Hum kahan Sarkar jayen Aap k hote howe

Keh raha ha Aap ka Rab Anta Fihin ap se
Kyun inhain main doon sazayen Aap k hote howe

Samnay hai aye Ali k Laal uswa aapka
Kyun kisi ka khouf khayen Aap k hote howe

Main ye kaise maan jaon shaam k darbar main
Cheen lay koi ridayen Aap k hote howe

Yeh to ho sakta nahi ye baat mumkin hi nahi
Mere ghar alaam aye Aap k hote howe

Kon hay Altaf apna haal-e-dil jis se kahain
Zakham-e-dil kis ko dikhayen Aap k hote howe
Share:

Itna kaafi ha zindagi k liye naat mp3 download

Itna kaafi ha zindagi k liye naat mp3 download

Download Mp3
Itna kaafi ha zindagi k liye
Rakh lain Aaqa ko nokri k liye

Aa gaye qabar main bhi churrwane
Dard kitna hay umti k liye

Lambe sajday kiye Nabi ne kahan
Ay nawasay teri khushi k liye

Chand suraj bhi unk qadmon main
Roz atay hain roshni k liye

Takk(dekh) k un ko ayub k ghar main
Mehal tarsay hain jhonpari k liye

Deed mangi hay un ki ay hakim
Main ne bas waqat-e-akhir k liye
Share:

Rukh-e-Sarkar sa koi nazara ho nahi sakta


Download MP3 Naat

Rukh-e-Sarkar sa koi nazara ho nahi saktaRukh-e-Sarkar sa koi nazara ho nahi sakta
Zamanay main Mohammad(S.A.W) sa pyara ho nahi sakta

Shab-e-miraaj Rab bola yahi mehboob se mil kar
Tumhara jo nahi hota hamara ho nahi sakta

Jannat main bhi sab jannti yahi kehtay thay moula se
Kya deedar taiba ka dobara ho nahi sakta

Ho deewana Mohammad(S.A.W) ka jaley naar-e-jahanum main
Kisi bhi tor pe ye un ko gawara ho nahi sakta

Jo zulfon se na muss ho tou ghatta kaali nahi hoti
Jo qadmon se na liptay tos sitara ho nahi sakta

Jahan par bhi giray hakim meray Aaqa utha lena
Teray jesa do aalam main sahara ho nahi sakta


Share:
Copyright © Stylish DP Girls | Powered by Blogger