Rukh-e-Sarkar sa koi nazara ho nahi sakta
Zamanay main Mohammad(S.A.W) sa pyara ho nahi sakta
Shab-e-miraaj Rab bola yahi mehboob se mil kar
Tumhara jo nahi hota hamara ho nahi sakta
Jannat main bhi sab jannti yahi kehtay thay moula se
Kya deedar taiba ka dobara ho nahi sakta
Ho deewana Mohammad(S.A.W) ka jaley naar-e-jahanum main
Kisi bhi tor pe ye un ko gawara ho nahi sakta
Jo zulfon se na muss ho tou ghatta kaali nahi hoti
Jo qadmon se na liptay tos sitara ho nahi sakta
Jahan par bhi giray hakim meray Aaqa utha lena
Teray jesa do aalam main sahara ho nahi sakta
0 comments:
Post a Comment