Kaam mardon k jo hain, so wohi kar jaatay hain

Kaam mardon k jo hain, so wohi kar jaatay hain
Jaan se apni jo koi guzar jatay hain

Mout kya aa k faqeeron se tujhay lena hay
Marnay se agay hi, ye log to mar jatay hain

Deed wa deed jo ho jaye, ghaneemat samjho
Joon sharar, warna hum, ay ehl-e-nazar jatay hain

Be hunar, dushmani ehal-e-hunar se, aa kar
Muhn pe charhtay hain to hain, par jee se utar jatay hain

Hum kisi raah se waqif nahi , joun noor-e-nazar
Rehnuma to hi to hota ha, jidhar jatay hain

Ah, maaloom nahi, saath  se apnay shab-o-roz
Log jatay hain chalay, so ye kidhar jatay hain

Ta-qyamat nahi mitnay ka, dil aalam se
Dard hum apnay ewaz choray asar jatay hain
Share:

0 comments:

Post a Comment

Copyright © Stylish DP Girls | Powered by Blogger