Atbaf abrak nazam zang lag jaata ha mohabbat ko

Atbaf abrak nazam zang lag jaata ha mohabbat ko
zang lag jaata ha mohabbat ko
Kyun ye jazbaat marne lagtay hain

Jin pe hum jan kabhi detay thy
Kyun wo anjaan lagnay lagtay hain

Har us aadat pe humko ranjish ho
Kabhi jin aadton pe martay thy

Baat har ek wohi puraani ha
Phir kyun lehjay naye naye se hain

Samnay hain sabhi wohi manzar
Kyun faraq sab dikhai deta hay

Kabhi socha k raaz kya is main
Kabhi socha k kyun ye hota ha

Kyun taluq ye bojh bantay hain
Kyun mohabbat ye rog lagti hay

Wo jo gulzaar ban k miltay thy
Ab kyun bezaar ho k jeetay hain

Haan mohabbat hi roop badlay ha
Ye taluq hi, dhang badlay hay

Jaisay bin istamal shay koi
Apna rung ya huliya badlay hai

Jaise dheemak c isko kha jaye
Bad shakal, daghdar ho jaye

Koi phal daar pairr bhi jaise
Be dheyani se sookh sa jaye

Yahi kuch haal ha mohabbat ka
Ye bhi har dam khyal chahti ha

Hum na iska khyal rakhain tou
Apnay andar hi mar c jaati hai

Lagy kaai zada c shay hay koi
Dekhna bhi jissay muhaal lagy

Bari be-rung c dikhai de
Jaisay ek boo c is main parr jaye

Zara afsos se isay dekhain
Phaink dain phir isay hamesha ko

Humain ehsaas bhi na ho paaye
Aur sab haath se nikal jaye

Jaisay sheesha kabhi na jurr paye
Waqat bhi loat kar nahi aye

So ye ab faisla tumhara ha
Is ko rakhna ha ya ganwana ha

Jaisay machli ko jal zaroori ha
Is mohabbat ko dil zaroori hay

Ye sirf zinda dil main reh paye
Ghum sabhi saath mil k seh jaye

Par jo dil se isay nikalo ge
Tum se ye intaqam bhi le gi

Isko bhulo ge ye bhulaye gi
Isko maaro ge maar daly gi

-Atbaf Abrak
Share:

0 comments:

Post a Comment

Copyright © Stylish DP Girls | Powered by Blogger