Aisa kal ki talash main khoye
Apnay sab aaj ganwa bethay
Main to rasta hoon kabhi chain nahi paata hoon
Manzilen dekhta hoon aur palat jata hoon
Zindagi be-zuban nahi lekin
Shor itna ha kon sunta hay
Main bulandiyan tha samjh raha
Tu nashaib tha main larhak gya
Insan koi dekhon, hasrat hi rahi meri
Jhanka hazar bar giryeban k andar
Kantay bhi ek zuban hain, Khushboo bhi ek zuban
Ab faisla hay aap ka, kya aazmaiye
Ghuroor acha nahi, kisi bhi shay pe yahan
Jalti lakri bhi kabhi pairr hoa karti thi
Hamain fursat hi fursat ab
Museebat hafiza khoya
Nahi hotay magar hotay hain
Kuch taluq ajeeb hotay hain
Zahir ye dikhatay hain, zahir to dikhawa ha
Ayena usay kehna, batan bhi dikhaye jo
Na jeena main ne hay seekha, na marna hay teri khawaish
Nibhai zindagi hum ne bari mushkil hay aapis main
Us paar ki tamana main
Is paar jee saka na main
Janay kitnay diye jala betha
Roshni ho na saki teray baad
Ajeeb hain zabitay mohabbat k
Jeetna hay to haarna ho ga
Wahan pathar dhare sab ne jahan dil ka thikana tha
Kisi ka dard phir zalim, kisay mehsoos hota ha
Isi ek baat ka tou rona hay
Chahiye wo k jo nahi milta
Kuch zaroorat ki bheent charhy
Kuch ko lalach karta
Khail sara mufaad ka ha
Log yunhi nahi badalty
Anjaan sitaaron se gila kesay karon main
Khud raat ki tareeki main ghum chaand hay mera
Tera kamzor banda hoon mujhay de day yaqeen aisa
Gharay bhi hoon sabhi kachay chanabon se nikal jaon
Main bhi shamil hoon isi dour k bashindon main
Jahan kar kar k jurm shor bhi khud kartay hain
Na khayen dhoka phir kaise, teray ye saada loh banday
Bana k surat-e-musa yahan firo'on phirtay hain
Bohat samjhaya hay khud ko, na khud se jhoot bola kar
Magar is rog main dil ko, kahan sach pe yaqeen aye
Kisi ki mushkilon main tu, kisi k kaam aa jana
Teri na mumkino ko kabhi mumkin bana de ga
Chand sansain khareednay k liye
Zindagi roz baichta hoon tujhay
Ye ma'ama aaj tak koi samjh paya nahi
Be wafai har taraf ha, bewafa koi nahi
Jashan hota to tham gya hota
Wo ha matam so roz karta hoon
Ab isay roz roz kya kahiye
Dil ki sab aadten purani hain
Main tha na mumkino ki sochon main
Tu ne mumkin ko bhi nahi socha
Na janay saath kyun apna faqat ek morr tak ka tha
Abhi jeena hi seekha tha hukam aya k mar jao
Taluq har nibhanay ka alag andaz hota hay
Agar suraj ko ghuro gay tumhain andha bana de ga
Is dunia ka jeena bhi, kuch is tarah hay jese
Baazar main dawa ho aur jaib ho khali
Neend apni hay magar khawab udharay teray
Gar ye puray bhi howe, haath na kuch aye ga
Main ne seekha hay, yahan dost mohabbat kar k
Log karty hain magar, kar k badal jatay hain
Shak ki sooli pe na logon ko charhay rakho
Khush guman ban k jeeyo, rishtay nibhana seekho
Tujhay samjhay ga koi aglay zamano wala
Janay is dour main kaise tu bhattak aya hay
Kuch zor e bayan mera mayub hay lagta
Kuch sach ki farawani unko nahi bhaati
Inhi khawaishon ki bheerr main
Kahin ghum hay insaan, dhoondna
Mohabbat beech k nahi taabeh
Bara khud roo mizaaj hay iska
Muhn se koi kisi ko na chahay bura kahe
A'aza ki bol chaal bhi samjha karo kabhi
Ab kitaabon main jee nahi lagta
Betha insaan parhta rehta hoon
Yahan dhoka rawaiyet hay
Bano zahid peeye jao
Wohi mazloom ab zamany main
Jis k khanjar pe khoon taaza hay
Janay walay se ye shikayat hay
Kahay wo ja k bhi nahi jaata
Way bas ek arooj ki khatir
Hum ne kya kya zawal bhugtay hain
Itna kehna k jitna sun pao
Log muhn main zuban main rakhtay hain
Sawal badlay jawab badlay
Na zindagi k azab badlay
Nahin ab dekhna hay kuch
So shama khud bujha li hay
Hay yaad sangdil mughalta ek
Na chaah k bhi jis main zindagi ha
Faida ayena badalne ka
Khud ko badlo to baat ban jaye
Hay ye khamoshi akhri harba
Ab na maana to haar jaon ga main
Bhoola hoa bhi hoon main, bhatka hoa bhi hoon
Hoon saans akhri main, atka hoa bhi hoon
Apni talash main nikla hoa tha main
Warna teri gali aata nahi kabhi
Miltay mohabbaton se hain jab log hum ko ab
Dil muntazir hi rehta hay ochay se waar ka
Ye to tay hay k tumhain marna ha
Par ye socho kya abhi zinda ho?
Bari mushkilon se sulaya tha jin ko
Wo har khawab rim jhim ye phir se jagaye
Bohat hi soch k likha hay teri bewafai par
Khamoshi pehla misra tha, khamoshi akhri misra
Kufar hay shayari main bhi
Koi banda khuda karna
Hum ne hi devta bana dala
Ishq warna faqeer paisha tha
Basaira darindo ka hay bastiyon main
Chalo jungilon main karen phir thikana
Aarzi mohabbat thi
Mustaqil nibhai hay
Meri hasrat tujhay maloom na ho gi aise
Khud se ja dil laga aur bichar ja khud se
Phir shifa yaab khaak ho koi
Marz jab khud se dawa ban jaye
Tumhaari tanqeed bhi zaroori hay
Kahin khud main khuda na ho jaon
Wo jo acha samjhtay hain mujhko
Pochain unse jin k saath hoon main
Kitni hasrat thi k anjaam badal jaye ga
Akhri warq kahin baar palat k dekha
Jisko dekha azab main dekha
Aisi dozakh banai hay dunia
Sach agar sab ayan jo ho jayen
Koi kis muhn se, muhn dikhaye ga
0 comments:
Post a Comment