ik teri yaad ko bas rakht e safar jaana hai

ik teri yaad ko bas rakht e safar jaana hai
hum ne pathar ko bahar torr gohar jana hai

jis tarah kat'ti gayi raat bhi khamoshi se
is tarah hum ne kisi shaam guzar jana hai

chaand ko hum ne batana hai tere baray main
aaj to hum ne barri derr se ghar jana hai

zain us ko to ujaara tha kayi sadiyon ne
aik lamhay main kahan us ne sanwar jana hai

aor phir mere siva kon sahay ga us ko
aor phr us k siva main ne kidhar jana hai

zain maala sa hamain us ne piroo rakha hai
hum ne chup chaap kisi roz bikhar jana hai
Share:

0 comments:

Post a Comment

Copyright © Stylish DP Girls | Powered by Blogger