hawa ki sarsarahat si
giray patton ki aahat si
koi awaz aati hai
Ye Dil Dasht E Muhabbat Hai
Mohabbat Dasht jaisi hai
Duain beasar jaisi
kisi khali nazar jaisi
Udasi pheal jati hai
Ye Dil Dasht E Muhabbat Hai
Mohabbat Dasht jaisi hai
Mohabbat barishon mein bighti larki k jaisi hai
kai rangon k pholon mein chopi kirki k jaisi hai
kisi ko mil bhi jati hai
kisi se kho bhi jati hai
yonhi hansti rolati hai
Ye Dil Dasht E Muhabbat Hai
Mohabbat Dasht jaisi hai
Chalo hum mil k in piyase sarabon se guzar jayein
Chalo ek bar phir pichle zamano mein utar jayein
kasak pichli mohabbat ki
Talab un guzishta chahat ki
Nazar mein jhel milati hai
Ye Dil Dasht E Muhabbat Hai
Mohabbat Dasht jaisi hai
Wafa k raste duniya se ho kar kyun guzarte hain
Sabhi jazbe na jane kyun fana k ghat utarte hain
ye duniya dil k khabon par duaon k sarabon par sada bijli girati hai
Ye Dil Dasht E Muhabbat Hai
Mohabbat Dasht jaisi hai
0 comments:
Post a Comment