Atbaf abrak poetry hay yaad kya
Hay yaad kya, ek mughalta hay
Guzari jis main ye zindagi hay
Hay yaad koi nasha purana
Jo rafta rafta mita raha hay
Hay yaad zalim, ajeeb wahma
Na hay, magar sab dikha rahi hay
Ye yaad goya hay bhool esi
K bhool k bhi na bhool paye
Hay yaad khoya sa ajnabi wo
K jis se wabsta har khushi hay
Ye yaad hay ya koi khilona
K jee hamara behal raha hay
Ye yaad jungle ki aag jesi
Bujhao jitni ye barhti jaye
Ye yaad jaisay sarab koi
Hay jis k taqub main zindagi ye
Ye yaad umron ki qaid esi
Sayad khud jiski qaid main hay
Hay yaad meethi c neend aisi
K khawab tootay hain roz jiske
Hay yaad sochon ka deep aisa
Jlaaye zyada, day roshni kam
Ye yaad goya hay ek samundar
Palat saka hay na koi darya
Hay yaad mushkil elaaj esa
Jo ek naya dard roz deta
Hay yaad bheega sa ek mousam
Jo ankh main hi thehar gaya hay
Hay yaad zalim hissar goya
K jis k bahir na zindagi hay
Wo yaad meri zara alag thi
Usay alag main basa chuka hoon
Wo yaad aisa haseen lamha
Jo har lamhe main mila chuka hoon
Goya yaad khatt naam zindagi k
Main janay kab ka jala chuka hoon
Hay yaad aisa jawab koi
Sawal jiska ghuma chuka hoon
Ho yaad koi ya zindagi ho
Main qehqon main urra chuka hoon
-Atbaf Abrak
0 comments:
Post a Comment