Jon Elia poetry and quotes collection

Two lines urdu poetry by Jon Elia:


Jon Elia poetry and quotes collection

Rooh ne ishq ka fareb dia
Jism ko jism ki adawat main
______________________

Band bahir se meri zaat ka durr ha mujh main
Main nahi khud main, Ye aam khabar ha mujh main
______________________

Wo jo aata to uski khushboo main
Aaj hum rang bharne wale thy
______________________

Sun haqeeqat kahan mujaz kahan
Hum kahan sajda-e-niyaz kahan
______________________

Sare rishta tashna hain
Kya main darya lagta hoon?
______________________

Kaise kahain k tujh ko bhi hum se ha wasta koi
Tu ne to hum se aaj tak koi gila nahi kia
______________________

Har kar us se uski gardan main
Main ne hi barh k haar dala ha
______________________

Bolte kyun ni mere haq main
Aable par gye zuabn main kya
______________________

Mujh se kama lo kuch pese
Zinda murda lagta hoon
______________________

Chand ne taan li ha chadr-e-abar
Ab wo kapre badal rahi ho gi
______________________

Kis se kahon k ek sarapa-e-wafa mujhay
Tanhaiyon main chor k tanha chali gai
______________________

Tujhko yaqeen aye na aye, ye aur baat
Main tujh se door reh k bhi tere hi paas hoon
_______________________

Hum hain masroof-e-intzam magar
Jane kya intzam kar rhe hain
________________________

Jane kis ki ankhon se
Behte hain aansoo mujh main
________________________

Ek purza tha wo bhi toot gya
Ab rakha kya ha tere paas machine
________________________

Bohat nazdeek ati ja rahi ho
Bicharne ka irada kar lia kya
_________________________

Teri surat ko dekh kar meri jaan
Khud bakhud dil main pyar uthta ha
_________________________

Ye mujhay chain kyun nahi parta
Aik hi shakhs tha jahan main kya?
__________________________

Main bhi bohat ajeeb hoon itna ajeeb hoon k bas
Khud ko tabah kar lia or malal bhi nahi
__________________________

Main larkhrata hoa moat ki taraf hoon rawan
Bas akhri ha jo lamha ha, Ab bhi ajao
___________________________

Nahi dunia ko jab parwah hamari
To phir dunia ki parwah kyun karen hum
___________________________

Ek hi apna milne wala tha
Aisa bichra k phir mila hi nahi
___________________________

Bin tumhare kabhi nahi ai
Kya meri neend bhi tumhari ha
___________________________

Tere jane k baad bhi main ne
Teri khushboo se guftgoo ki ha
___________________________

Khud ko jana juda zamane se
Aa gya tha mere ghuman main kya
___________________________

Khamoshi se ada ho rasm-e-doori
Koi hangama bharpa kyun karen hum
___________________________

Kya ha gar zindagi ka bas na chala
Zindagi kab kisi k bas main ha
___________________________

Baat ha raste pe jane ki
Aur jane ka rasta hi nahi
___________________________

Kya takaluf karen ye kehne main
Jo bhi khush hay hum us se jalte hain
___________________________

Main bhi ab khud se hoon jawab talab
Wo mujhe be sawal chor gya
___________________________

Ab main koi shakhs nahi
Uska saya lagta hoon
____________________________

Mujhko gehrai main utrna ha
Par main gehrai sateh pr chaho
____________________________

Reham kha k leedron ko apnay haal-e-zaar pr
Kam se kam sou saal tak aram karna chahiye
____________________________

Mere ghuse ka asar kya ho ga
Mujhe ghuse main hansi ati ha
____________________________

Aaj main khud se ho gya mayus
Aaj ek yaar mar gya mera
____________________________

Zindagi kis tarah basar ho gi
Dil nahi lag raha mohabbat main
____________________________

Kis se us shakhs ka gila kejiye
Nahi aata samjh main kya kejiye
_____________________________

Thi jo ek fakhta udas udas 
Subha wo shaakh se uri hi nahi
_____________________________

Ha kuch esa k uski jalwat main 
Humain apni kami se khatra ha
_____________________________

Shoq ki rah par agr chaliye
Chaar janib se be khabar chaliye
_____________________________

Tum nahi bolti ho? mat bolo
Hum bhi ab tum se nahi bolen ge
_____________________________

Tumhain koi shikayat to na ho gi
Mujhay tum se mohabbat ho gai ha
_____________________________

Meri jaan ab ye surat ha k mujh se
Teri aadat churai ja rahi ha
____________________________

Tujhko kya ho gya k cheezon ko
Kahin rakhta ha, dhoondta ha kahin
_____________________________

Ho raha hoon main kis tarah barbad
Dekhne wale haath maltay hain
____________________________

Apna rishta zameen se hi rakho
Kuch nahi aasman main rakha
____________________________

Aaj ek baat to batao mujhe
Zindagi khawab kyun dikhati ha?
____________________________

Ek hi fun to hum ne seekha ha
Jis se milye usy khafa kijye
____________________________

Roz afzon ha zindagi ka jamal
Admi hain k marte jate hain
____________________________

Mehak utha ha angan is khabar se
Wo khushboo lout ai ha safar se
____________________________

Dil na lage ga tere baad
Par tere baad hum kahan
____________________________

Ay shakhs ab to mujh ko sabhi kuch qabool hay
Ye b qabool ha k tujhe cheen le koi
____________________________

Ye mat bhoolo k ye lamhaat humko
Bicharne k liye milwa rahe hain
____________________________

Mujh se milne ko aap aye hain?
Bethiye main bula k laata hoon
____________________________

Har bar unhain dekhte hain yun hum
Jaise pehle dekha kabi na ho
_____________________________

Nazar heran, dil weran, mera jee nahi lgta
Bichar k tumse meri jaan, mera jee nahi lgta
_____________________________

Ye kis muqam pe sujhi tujhe bicharne ki
K ab to ja k kahin din sanwarne wale thy
______________________________

Main tumhare hi dum se zinda hoon
Mar hi jaon jo tum se fursat ho
_______________________________

Kehte hain intaha-e-ishq jisay
Wk faqat khel ha murrawat ka
________________________________

Ajeeb baat ha jo tumse keh rahi hoon main
Khyal mera zyada aur apna kum rakhna
________________________________

Wo jo tameer hone wali thi
Lag gai aag us immart main
________________________________

Mujhko khawaish hi dhoondne ki na thi
Mujh main khoya raha Khuda mera
________________________________

Kis se koi bhi shikwa nahi magar tumse
Abhi talak mujhe shikwa ha, ab b aa jao
________________________________

Tum mera dukh baant rahi ho, dil main sharminda hoon
Apne jhoote dukh se tumko kab tak dukh pohnchaon ga
_________________________________

Kya kahon tum se kitna nadam hoon
Tum se mil kar hoa na pura main
_________________________________

Main to bas ek naam tha aur mujhe hawaon main
dhool pe likh diya gya aur urra dia gya
________________________________

Aap ab pochnay ko aye hain
Dil meri jaan mar gya kab ka
________________________________

Main kya hoon bus ek malal-e-maazi
Us shakhs ko haal chahiye tha
________________________________

Mujh se ab log kam hi miltay hain
Yun bhi main hatt gya hoon manzar se
________________________________

Aisa ha k seenay main sulagti hain kharashen
Ab saans bhi hum lain ge to acha na karen ge
________________________________

Ikhlaq na barten ge, madawa na karen ge
Ab hum bhi kisi shakhs ki parwah na karen ge
_________________________________

Aur to kush nahi kia main ne
Apni halat kharab kar li hay
_________________________________

Jan lewa thin khawahishen warna
Wasal se intzar acha tha
_________________________________

Is tor se hoa tha juda apni jaan se
Jaise bhula sakon ga usay aaj hi se main
_________________________________

Mujhay shikwa nahi bas pochna hai
Ye tum hansti ho apni hi hansi kya?
_________________________________

Ek shakhs kar raha ha abhi tak wafa ka zikar
Kash! us zuban daraz ka muhn noch lay koi
_________________________________

Hai ajab faislay ka sehra bhi
Chal na pariye to paun jaltay hain
_________________________________

Aarzoo k kanwal khilay hi nahi
Farzz krlo k hum milay hi nahi
_________________________________

Sochta hoon kabhi kabhi yunhi
Akhir haraj kya tha usay manany main
_________________________________

Ek teri brabri k liye 
Khud ko kitna gira chuka hun main
_________________________________

Main khud ye chahta hoon k halaat hun khrab
Mere khilaf zehar uglta phiray koi
_________________________________

Thi kisi shakhs ki talash mujhay
Main ne khud ko hi intakhab kia
_________________________________

 Kya main angan chor doon soona
Jee jalaye gi chandni kab tk
_________________________________

Kal par hi rakho wafa ki batain
Main aaj bohat bujha hoa hoon
_________________________________

Ab sanwarte raho bala se meri
Dil ne sarkar khudkushi kar li
_________________________________

Ghazal Collection:

Shoq ka rang bujh gaya

Shoq ka rang bujh gaya, Yaad k zakham bhar gaye
Kya meri fasal ho chuki, kya mere din guzar gye

Reh guzar-e-khyal dosh badosh thay jo log
Waqat ki gard baar main janay kahan bikhar gaye

Shaam ha kitni be tapak, shehar ha kitna seham naak
Hum nafso! kahan ho tum, jane ye sab kidhar gaye

Paas-e-hayat ka khayal humko bohat bura laga
Pas ba hujoom-e-moarka jaan k be sipar ho gaye

Main to saffon k darmyan kab se para hoon neem jaan
Mere tamam jan nisar mere liye to mar gaye
____________________________________

Mar mita hoon khayal par apnay

Mar mita hoon khayal par apnay
Wajad ata hay haal par apnay

Abhi mat dijeo jawab k main
Jhoom tou loon sawal par apnay

Umar bhar apni aarzoo ki ha
Mar na jaon wisal par apnay

Ek atta ha meri hawas nighi
Naaz kar khudokhal par apnay

Apna shoq ek, hulia saaz ao
Shak ha usko jamal par apnay

Janay is dam wo kis ka mumkin ho
Behas mat kar muhal par apnay

Tu bhi akhir kamal ko pohncha
Mast hoon main zawal par apnay

Koi halat to aitbar main ha
Khush hoa hoon malal par apnay

Khud pe nadam hoon Jon yani main
In dino hoon kamal par apnay
______________________________________

Dhund chai hoi ha jheelon par

Dhund chai hoi ha jheelon par
Urr rahe hain parinday teelon par

Sab ka rukh ha nashaimno ki taraf
Bastiyon ki taraf bano'n ki tarf

Apnay gallon ko le k charwahy
Sarhadi bastiyon main ja pohnchay

Dil-e-nakam! main kahan jaon?
Ajnabi shaam! main kahan jaon?
______________________________________

Manzar sa tha koi

Manzar sa tha koi k nazar us main ghum hoi
Samjho k khawab tha k sehar us main ghum hoi

Sood ay rang wo tha k utra kood apna rang
Phir ye k saari jins-e-hunar us main ghum hoi

Wo mera ek ghuman k manzil tha jiska naam
Sari mataye shoq-e-safar us main ghum hoi

Deewar k siwa na raha kuch dilon k beech
Har surat-e-kashaish dar is main ghum hoi

Ek faislay ka sans tha ek umar ka safar
Lekin tamam reh guzar us main ghum hoi

Bas Jon kya kahon k meri zaat-e-nafa jo
Jis kaam main yahan tha zarar us main ghum hoi
________________________________________

Tumhary naam tumhary nishan se be sarokaar

Tumhary naam tumhary nishan se be sarokaar
Tumhari yaad k mousam guzarte jate hain

Bas ek manzar be hijar-o-wasal ha jis main
Hum apnay aap hi kuch rung bharte jate hain

Na wo nishat-e-tasawur k lo tum aa hi gaye
Na zakham-e-dil ki ha sozish koi jo sehni ho

Na koi wada-o-peman ki shaam ha na sehar
Na shoq ki ha koi dastan jo kehni ho

Nahi jo mahmal-e-lelaye aarzoo sar-e-rah
To ab fiza main fiza k siwa kuch or nahi

Nahi jo moj-e-saba main koi shameem-e-peghaam
To ab saba main saba k siwa kuch or nahi

Utar day jo kinary pe humko kashti-e-weham
To gard-o-pesh ko gardab hi samjhtay hain

Tumhary rung mehkty hain khawab main jab bhi
To khawab main bhi unhain khawab hi samjhtay hain

Na koi zakham na marham k zindagi apni
Guzar rahi ha har ehsaas ko ginwany main

Magar ye zakham ye marham bhi kam nahi shayad
K hum hain ek zameen par or ek zamany main
__________________________________

Chahta hoon k bhool jaon tumhain
Aur ye sab dareecha hay haal

Jo tumhari simt khultay hain
Band kr doon kuch is tarah k yahan

Yaad ki ek kiran bhi na aa sake

Chahta hoon k bhool jaon tumhain
Aur khud bhi na yaad aon tumhain

Jaisay tum sirf ek kahani thin
Jaisay main sirf ek fasana tha
____________________________________

Shayad mujhe kisi se mohabbat nahi hoi

Shayad mujhe kisi se mohabbat nahi hoi
Lekin yaqeen sabko dilata raha hoon main

Ek husan be misal ki tamseel k liye
Parchaiyon pe rung girata raha hoon main

Apna misaliya mujhe ab tak na mil saka
Zarron ko aaftab bnata raha hoon main

Kya mil gya zameer hunar bech kar mujhe
Itna k sirf kaam chlata raha hoon main

Kal dopehr ajeeb c ek be-dilli rahi
Bus titliyan jala k bujhata raha hoon main
________________________________

Jon Elia Quotes Collection:

Jahalt rooh ki faqa-kashi hay.

Is samaj ka sab se bara karnama ye ha k is ne insaan ko janwar bna dia ha. Aur is janwar ki khasiyat ye ha k wo maazi ki wehshat aur darindagi k sath aqeedat aur ek dusre k sath nafrat aur darindagi se pesh aye aur yahi iska maslak aur mazhab ha. Jo koi isk khilaf awaz uthaye wo kafir ha.

Wajood, khayal ka zawal hota hay.

Agar deewarain zee rooh hotin tou wo apne seenay pr likhe howe zehreele naaron k asar se halak ho jatin.

Kya parday ne 'parda-poshi' k elawa koi aur farz bhi anjam dia ha?

Dunia main sirf ek hi esa muqam ha jahan do mukhtalif mazhab yakja nazar atay hain aur wo ha medan-e-jung.

Jo hazraat awam ka khoon choos kar hajj karne tashreef le jate hain kya wo mushrik hain?

Agar main apne jhoot k saath khush hoon to phir tum mere upar apna sach musalat karne wale kon hote ho.

Ab kisi aadmi k qatal hone ki khabar koi khabar nahi rahi. Ho sakta ha qatal ki khabren apna asar kho dene k bais ayenda akhbaaron main chapni band ho jayen.

 Namaz prhne wale ka maslak hi nahi, har masjid ka bhi apna ek maslak hota ha. Masjid ya tou sunni hoti ha ya shia, barelwi ya deo-bandi. Main ne aaj tak koi musalman masjid nahi dekhi.

Yaqeen hi wo bemari ha jo aqlon main fitoor aur dilon main fasad pesa karti ha.

Agar hum aitraf ki shreefana salahiyat rakhte hoon to hamain man'na pare ga k hum jawab hasil karna to bari baat ha, sawal karne ki ehliyat bhi nahi rakhte. 

 Main ne logon se mutasir hona chor dia kyunke log wo nahi hote jo nazar atay hain.

 Ekisveen(21st) saddi pakistan main aai nahi ha balke aghwa kar k lai gai hay.

Hum ek hazar bars se tareekh k dastar khawan par haram khori k siwa aur kuch nahi kar rahe.

Sach bolna ek jurm ha, aur hum ne ye jurm qabool kia. 

Sach sub se bara jhoot ha aur insaan bohat sacha ha k is ne ye jhoot kabhi nahi bola.

Mashriq ki masoomiyat aur sharm-o-haya k qaseede parh kr jahalat, munafqat, haram khori aur doghle-pan ka koi jawaz paida nahi kia ja skta. Waqt guzar chuka ha aur wo iqdaar mar chuki hain jinke saharay tak haqeeqton ko jhutlanay ki nakam koshish ki gai. 

Waqat k bus do hi naam hain, hona aur na hona. Aur honay ka behlawa na honay k draway se bohat kum ha.

Kis qadar bad-naseeb hain hum k humain insano ki is dunia main hamesha ilm aur aqal ki ehmiyat sabit karna pari hai.

Hum kuch bhi chahtay hoon lekin ilm wo sab kuch chahta ha ya chah skta ha jo hum nahi chahtay.

Share:

0 comments:

Post a Comment

Copyright © Stylish DP Girls | Powered by Blogger