dil ki koi bhi baat bataya na kar mujhay
main ne kaha bhi tha k sataya na kar mujhay
darta hon meri lou se tera ghar na jal uthay
shab main diya jala k bulaya na kar mujhay
main khud bhi dekhta hu udaasi k khaal o khad
qissay udasiyon k sunaya na kar mujhay
phoolon ne musta'aar liya tha mera badan
phoolon ki nazuki se churaya na kar mujhay
khud aap apne shoq se bikhra hon dasht main
chun chun k meri khaak uthaya na kar mujhay
main khat nahi k aag mita de wajood e mann
tukron main chahay baant jalaya na kar mujhay
main geet to nahi hon mujhay bhool bhaal jaa
apne haseen labon pe sajaya na kar mujhay
0 comments:
Post a Comment