Photoshop Tricks

Jesa ki aap sabhi log jante hi hai ki Photoshop Editing ka sabse best software hai aur sabhi professional Editor iska upyog karte hai par sawal uthta hai ki Photoshop sikhe kaise to Dosto main apne blog me apko Photoshop ki kuch aisi Tricks btau ga jisse aap bhi Ek professional Editor ke jese Edit karne lgo ge yaha par mene professional kyu bolo because Editing To har koi kar sakta hai but ek professional Editor Photoshop ki madat se aisi Edit krta hai jisse Photo real bhi lagti hai aur edit bhi ho jati hai jese ab hamko kisi photo ka Background change karna hai maan lo hamne kar bhi liya but vo pic se mel nhi khata aur hamari photo fake dikhne lagti hai ab yahi kam agr ek professional Editor karta hai to mano sach me vo photo ka background real lagne lgta.. So friends Photoshop jitna hi aap sikho ge utna hi better kar pao ge aur han iske liye apko kahi jane ki jarurt nhi hai main yahi kuch tricks dunga jiski help se aap Photoshop ka better use kar sakte aaj main aap logo ko photo ka background kaise change karte hai Photoshop me yahi btau ga. Dosto main ye link de raha hu jisko click kar ke video me aap dekh sakte hai ki background kaise change karte aur normal photo ko DSLR jesi kaise bna sakte..

Photoshop History in Hindi :
Hum sab jante hai ki Photoshop image editing ki duniya ka sabse popular or kaafi powerful image editing software hai . Or har aaj koi Photoshop use karna chahta hai . To chaliye thoda piche jate hai pata kart hai ki itna popular software bana kaise .
Thomas Knoll , 1987 me PHD ke student the or Engineering ki padhai Michigan university me kar rahe the . Thomas Knoll ne us time ek new mac plus computer liya tha . lakin is mac plus computer me thodi problem ye thi ki ye 1 bit balck and white (Gray-scale) image ko dislplay nahi kar sakta tha . jo ki unke liye ek samasya thi � kahte hai na aavakskta , aviskaar ki janni hai .
Is problem ko dur karne ke liye Thomas Knoll ne coding or program banana chalu kiya . kaafi koshis or mehnat ke baad thoam knoll ne is problem ko solve kar liya .unhone ek program banaya jo ki monochrome image ko badal kar computer monitor par gray scale display deta tha . Thomas knall ke bhai john knall ko jab bhai ke is program ke bare me pata chala to unhone ne bhi isme intrest dikhaya .
Hum aapko ye bata de ki John knoll jo ki use time ILM (Industrial Light and Magic) me special effects department me kam karte the ve us time 1st star war movie me kam kar rahe the . ILM aaj diniya ke bade studios me aata hai jo Hollywood ki films me VFX ka work karta hai . John ne apne bhi ke project me saath mil kar kaam karne ki thani , John ne apne bhi Thomas Knoll ko is chote se program ko ek powerful image editing software banane ko kaha .
start me inhone is program ko � Display � ka name diya but baad me dono bhiyo ne is program ko or improve kiya or develop kiya fir is program ka name change karke �Image-pro� kar diya or is software ko 1988 me launch kiya . dono bhaiyo ne is program ko ek application ke jaisa bachna chalu kiya or ise bachne ke liye unhone iska name �Image-pro� se change karke
�Photoshop� kar diya.
Kuch time sell karne ke baad dono bhi is software ko lekar kai company ke pass gaye par kisi bhi company ne unka ye software nahi liya . kai koshiso or kai company ke chakar lagate lagate finally September 1988 me ek company ke sath usni deal hui . use company ka name tha adobe system . Adobe System ne Photoshop ke hole sell ke rights le liye . fir kya dono bhai Photoshop ko or behtar banane me lag gaye . kuch hi salo me (1990) unhone Photoshop ka 1st version launch kiye Photoshop 1.0
Photoshop Kya Hai Puri Jankari Hindi Main
To dosto is tareh se Photoshop market me aaya . Photoshop 1.0 ke baad Photoshop ke kai sare version aaye or Photoshop grow hota chala gaya or aaj Photoshop Image Editing Duniya ka sabse popular software ban gaya. Dosto humne Photoshop ki history ke bare me thodi jankari li . ab hum jante hai ki Photoshop kya hai uska use kaha kaha hota hai .
Photoshop Kya hai :
Adobe Photoshop Raster Graphic Editing software hai , Photoshop me hum Image ko edit or compose kar sakte hai . Photoshop me Layers , masks , Filters , Text or Photoshop ke tools hai jin ki help se hum kisi bhi image ko edit kar sakte hai . Photoshop ab 3D graphic or video ko bhi support karta hai or inj sab khubiyo ke vajah se yah or bhi powerful software ban jata hai .
Photoshop kai sare color space ko bhi support karta hai jaise ki RGB , CMYK , Gray scale , Lab color space , spot color and duo tone . Photoshop lagbhag sabhi tarah ke graphic or image file ko support karta hai . Photoshop ke kuch apne file format bhi hai jaise ki PSD and PSB .
Photoshop Ka Use Kon Kon Karta Hai Or Kaha Use Kiya Jata Hai :
Photoshop ka use jyada tar photographer karte hai image ko edit karne me . jaise ki kisi image a background change karne me , color correction karne me , enhance karne me . Par aaj kal to Photoshop lagbhag har koi use karta hai or yah kai industry me use kiya jata hai . Photoshop Print media me bhi kafi jyada use hota hai , Photoshop ka use web design me bhi kiya jata hai , logo design me bhi kiya jata hai , fashion industry me models ke photo ko fine enhance karne me retouch karne me Photoshop ka kaafi use kiya jata hai .
Photoshop ko use scientific research me bhi kiya jata hai , Photoshop ka kaafi use Film industry me bhi kiya jata hai wire removal or matte painting karne me , CG UV Texture banane me . To kahne ka matlab ye hai ki aaj k samay me Photoshop har koi use karta hai or shikhna chahta hai .
dosto Photoshop ke bare me hum aane vali post me or jyada janege or shikhenge par aaj ke liye itna hi . ye post Photoshop Kya Hai Puri Jankari Hindi Main kaisi lagi comment karke jarur bataye.
                          
Share:

0 comments:

Post a Comment

Copyright © Stylish DP Girls | Powered by Blogger